Insurance kya hai ?
Doston swagat aap logo ka educational points ke iss naye Post me is post mein ham log janenge ki insurance kya hai, insurance kitne prakar ka hai, insurance kaise hota hai.
Content Table |
- Insurance kya hai?
- Insurance kam kaise karta hai?
- Insurance kitne prakar Ka hota hai
- Life insurance
- General insurance
- Health insurance
- Motor ya car insurance
- Crop insurance
- Business liability insurance
- Travel insurance
|
Insurance kya hai ?
Insurance ka matlab hota hai aane Wale khatre se Suraksha Karna matlab ki Apne life aur property se Jude risk ko cover karne ka ek option insurance hota hai
Insurance ek legal agreement hai jo do parties ke bich hota hai pahla Insurance company aur dusra insurance karvane wala aadami
To is agreement ke according koi aadami insurance company se apna insurance karwata hai to future me use vyakti Ko hone wali financial lost ki ki bharpai insurance company karti hai
Insurance kam kaise karta hai ?
Insurance agreement ke tahat insurance company ke dwara insured person yani ki bimit vyakti se ek fix amount liya jata hai jise premium kahate Hain premium lene ke bad us insured vyakti ko Kisi bhi tarah ka nuksan pahunchta hai to insurance policy ki term and condition ke hisab se uske nuksan ki bharpai ki jaati hai
ISI tarah agar Kisi property jaise ki Ghar kar car ka insurance karvaya gaya ho to use chij ka tutane Jaise situation mein use property ke owner ko pahle se decide ki gayi condition ke Aadhar per muavja Diya jata hai
Insurance kitne prakar Ka hota hai ?
Insurance mainly do prakar Ka hota hai.
- Life insurance
- General insurance
Lekin aaj kal insurence ke bahut se types famous ho gaye hain Jaise:- travel insurance
1. Life insurance
To iske Naam se Hi aapko pata chalta hai ki insurance ka ye Type insured person ke life ka insurance karta hai matlab ki Jo aadami apna Bima karwata hai uski Achanak death ho jaaye to uski family ko company muavja deti hai iss Life insurance ki importance tab bahut badh jaati hai jab Ghar ki Mukhiya ki death ho jaaye aur family ki financial security Ka khyal rakhne wala vahi Ho To aise main use vyakti Ke Na Rahane per uske family ko Financial support milta hai isliye Life insurance jarur karvana chahie taki aapke na hone per bhi aapki family financial secure feel kare
2.General Insurance
Insurance ke iss type me ghar vehicle health animals insurance yah sabhi Shamil hote Hain.
Home Insurance ki baat Karen to bahut se log apne ghar ka Bima bhi karwate Hain Aisa karne se unka Ghar surakshit Ho jata hai yani ke future me agar unke Ghar Ko Kisi tarah ka nuksan pahunchta hai to iski bharpai Insurance company se Ho jaati hai is tarah Ke insurance me Aag, earthquake, Flood Jaisi bahut se prakritik Disaster se ghar ko hone wale nuksan Shamil hote Hain. Aur iske liye insurance security Di jaati hai
3.health insurance
Ab ham baat karte hai health insurance ki to aaj kal health problems kafi jyada badh gai hai isiliye health per hone wala kharch bhi kafi jyada badh chuka hai aise mein agar aap health insurance lete Hain To koi bhi bimari hone ki situation me ilaaj ka kharch insurance company dwara Cover Kiya jata hai insurance company ke dwara treatment me Kitna cover Diya jaega yah aapke dwara li gayi policy ki term pe nirbhar Karega yah ye Dhyan rakhna jaruri hai ki health insurance policy ka fayda sirf unhin hospitals me milta hai jo ki is policy se Jude hote Hain iske alava aajkal aisi health insurance policy bhi hai Jo aapke pure family ko insurance security de sakti hai isiliye aisi policy ko privati Den chahie
4.Motor Ya Car insurance
Ab ham baat karte hain motor ya car insurance ki hamare Desh me vehicle ka insurance karvana compulsory hai aur Aisa nahin karne per fine lagta hai is insurance policy ke tahat aapke vehicle chahe vah car ho yah two wheeler ya 3 wheelar usko hone wale nuksan ka muavja Bima company deti hai yadi aap ki ki gadi se a Kisi vyakti ko chot lag gai Ho yah Kisi person ki death Ho gai Ho to insurance company ke dwara aise situation me third party insurance ke roop mein cover Kiya jata hai.
5. Crop Insurance
To doston ab ham baat karte hain crop Insurance ki aise Kisan Jo krishi loan lete Hain unke liye crop Insurance lena bahut hi jaruri hota hai is insurance main crop any ki fasal ko Kisi bhi Karan se hone wale nuksan ki bharpai insurance company ke dwara ki jaati hai
6. Business liability insurance
Yeah insurance Kisi company ke work ya uske Kisi company se is consumer ko hone wale nuksan ki bharpai karta hai Jani Kisi company ka kaam kaaj yah uske Kisi product ki vajah se agar Kisi customer ko koi hani Hoti hai To aise situation mein company par lagne wala jurmana aur kanuni kaarvayi ka sara kharcha uthane ka jimmedari us insurance company ki hoti hai jo ki us company ki business liability insurance karti hai
7. travel insurance
Aajkal travel insurance bhi kafi jyada popular ho chuka hai yeah insurance travelling ke dauran hone wale nuksan se bachav karti hai yani ke agar koi vyakti jisne apna travel insurance karva Rakha Ho vah kam Ke silsile me ya ghumne ke vichar se videsh jata hai aur vahan use chot lag jaati hai yah uske Saman kho jane jaisi samasya Ho jaati hai to iska muavja insurance company use vyakti ko deti hai is policy ki time limit aapki journey ki ki shuru hone se lekar khatm hone Tak hoti hai iske alava Desh ke andar ki jaane wali chhoti badi Yatra Ke liye bhi travel insurance uplabdh hota hai
Conclusion
Asha Karta Hun ki aap logon Ko is post me insurance kya hai, insurance kam kaise karta hai, insurance kitne prakar Ka hota hai yah Sabhi Jankari mil gai hogi agar aap logon ko post acchi lagi ho to Apne doston ke sath bhi jarur share Karen dhanyvad